Tarbooz khane se hote hain bemisal fayde - best tricks forever

BEGINNER GUIDE (Hindi)

test banner

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Tuesday, 24 January 2017

Tarbooz khane se hote hain bemisal fayde

Watermelon (Tarbooz) ke fayde.]
Tarbooz khane se hame kya fayde hote hain? Garmiyo ke mausam mein aksar sharir mein paani ki kami ho jati hain. Doctor hame paani peene ki salah dete hain aur in garmiyo mein tarbooz bhi apni dastak deta hain. Tarbooz garmiyo mein hamare sharir mein paani ki kami ko bhi pura karta hain. Garmiyo mein tarbooz ka sewan bahut hi faydemand mana jata hain.

Tarbooz itne kamala ka hain yeh hamare body ko healthy banata hain. Tarbooz khane se ham kai saari health problems se bach sakte hain. Aaiye jante hain Tarbooz khane ke kya fayde hain (Benefits of watermelon in Hindi/Urdu.) :-

• Glowing skin ke liye :- Tarbooz ke sewan se aap apni skin ko glowing aur healthy bana sakte hain. Tarbooz mein Lycopene naam ka tatv hota hain jo aapki skin ko healthy banane ke saath saath black heads ko bhi hatane mein useful hota hain.

• Kidney ko healthy rakhe :- Tarbooz mein kafi matra mein paani aur minerals hote hain jo sharir se kharab chemicals ko bahar nikaal kar hamari kidney ko healthy rakhne mein madad karte hain.

• Healthy Hair ke liye :- Tarbooz ko khane se aap baalo ka jhadna rok sakte hain, Kyonki tarbooz mein folic acid hota hain, Jo hamare baalo ko strong banane mein kargar hain.

• Immunity majboot kare :- Tarbooz mein Vitamin A, B-6, C aur Minerals hote hain, jO sharir mein bimariyo ko daakhil nahi hone dete hain aur hamari immunity ko bhi badhate hain.

• Cancer ko roke :- Tarbooz ka sewan karne se cancer hone ka khatra kam ho jata hain. Kyonki Tarbooj mein Lycopene, Beta-Carotene aur Lutein jaise tatv hote hain jo body ko damage hone se bachate hain aur body ko cancer hone ke khatre ko bhi kam karte hain.

• Wajan kam karne mein faydemand :- Tarbooz mein paani ke sath-sath fiber bhi kafi acchi matra mein hota hain. Agar aap tarbooz ka sewan daily karte hain toh aap iske jariye apna wajan kam bhi kar sakte hain.

• Heart ko banaye healthy :- Tarbooz ke sewan se blood cholesterol level kam hota hain, jo ki dil ki problems ko door rakhne mein upyogi hain.

• Aankho ki roshini badhaye :- Tarbooz ka sewan karne se aap apni aankho ki roshini ko badha sakte hain. Tarbooz mein Beta-Carotene paya jata hain jo body mein jakar vitamin A mein convert ho jata hain, Jisse aankho ki roshini badhti hain.

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here