Nimbu mein Vitamin C paya jata hain, Yeh baat aap sabhi logo ko maloom hi hain. Lekin iske alawa bhi nimbu aapke liye kafi faydemand hota hain. Agar aap Nimbu se hone wale faydo ke bare mein anjaan hain toh yeh article jaroor padhe. Aaj hum aapko Nimbu ke 10 anmol fayde batane ja rahe hain. Benefits of Lemon in Hindi/Urdu.
1) Nimbu ka ras blood pressure ko control mein rakhta hain. Garm paani mein nimbu nichod kar peene se gale ki kharabi door hoti hain. Saath hi agar kisi zehreele jeev-jantoo ne kaat liya ho toh, oos jagah par nimbu ka ras lagane se zehar ka asar nahi hota hain.
2) Masoodho mein preshani hone par Nimbu aapki madad kar sakta hain. Masoodho mein se khoon nikalne par Nimbu ka ras masoodho par lagane se aaram milta hain aur masoodhe theek ho jate hain.
3) Chandan aur Nimbu ke ras ka lep bana kar chehre par lagane se moohase door hote hain aur aapka chehra bedaag, saaf aur chamakdaar ho jata hain. Nimbu ka ras besan ke saath mila kar chehre par lagane se rang nikharta hain.
4) Nakhoono par nimbu ragadne se nakhoon saaf, majboot aur chamakdaar bante hain. Agar aapko kohni ya haatho ka kalapan kam karna ho, toh nimbu ragadkar usay kam kar sakte hain.
5) Nimbu ka ras Sendha namak ke saath mila kar peene se kidney stone se chhutkara milta hain. Vahi nimbu ka chhilka pees kar maathe par lagane se Migraine ke dard se aaram milta hain.
6) Daad ya Khujali hone par Nimbu ke ras mein Nausaadar ko pees kar lagane se yeh khatm ho jata hain. Nimbu Skin se related problems ko door karne mein helpful hota hain.
7) Nimbu mein motape ko door karne ki capacity hoti hain. Garm paani mein Nimbu aur Shahad mila kar peene se motapa kam hota hain aur saath hi yeh aapko bharpoor energy bhi deta hain aur toh aur yeh aapke sharir ke androoni parts ki safai bhi karta hain.
8) Daanto se peelapan hatane ke liye Nimbu ko kaat kar namak ke saath daanto par ragadne se daanto ka peela pan kam hota hain aur daant chamakne lagte hain.
9) Pet mein gas banna ho ya badhajmi ki shikayat ho Nimbu paani peena bahut hi faydemand rahta hain. Iske saath agar aap Kala namak bhi lete hain toh yeh aur bhi zyada fayda pahuchata hain.
10) Nimbu ke beejo ko pees kar seer par lagane se ganjapan door hota hain aur naye baal ugne lagte hain. Iske alawa kisi bhi tarah ke ghaav ho jane par nimbu ke ras ko badam ke tel ke saath mila kar lagane se ghaav jaldi theek ho jata hain.

No comments:
Post a Comment