Sabse pahle Litchi (Lychee, Lichi, Leechi) ki kheti 1st Century mein South China mein shuru huyi thi. Leechi Vitamin C aur Pottasium ka important source hain. Litchi ko pura pakne ke baad hi toda ja sakta hain, Kyonki ped se tod lene ke baad lichi ke phal ko pakaya nahi ja sakta hain, Jaise ki Kela aur Aam jaise phalo ko kaccha tod lene ke baad bhi pakaya ja sakta hain, Lekin Leechi ke saath aisa nahi hota hain, Yeh phal sirf ped par hi pakta hain.
Yeh chhote size ke patle aur narm kaato ke chhilke wala phal hain. Iska chhilka pahle Lal rang ka hota hain aur puri tarah pak jane ke baad gahra lal ho jata hain. Ander se khoob mulayam transparent safed rang ka chamakdaar pulp hota hain jo tasty hone ke saath-saath healthy bhi hota hain. Iss pulp ke ander kathayyi rang ka beej hota hain.
Lichi nutrients ka khazana hain. Isme Vitamin C, Potassium aur Sugar hota hain. Saath hi isme paani ki matra bhi sahi hoti hain. Garmi mein ise khane se sharir mein paani ka level sahi rakhte huye yeh hame thandak bhi pahuchata hain. 10 Litchi khane se hame 65 Calorie milti hain.
Aaiye jante hain Litchi khane ke fayde ke bare mein (health benefits of Litchi in Hindi/Urdu) :-
• Leetchi mein Fiber bahut hi acchi quantity mein hota hain.
• Litchi khane se blood pressure theek rahta hain.
• Leechi mein Breast cancer ko rokne ki power hoti hain.
• Lichi khane se sharir ka khoon healthy rahta hain.
• Ise khane se skin healthy rahti hain.
• Lychee mein Anti-Oxidants bahut zyada matra mein hote hain.
• Leechi mein Minerals, Calcium, Phosphorus, Magnesium hote hain jo sharir ke vikas ke liye bahut hi jaroori hain.
• Leechi mein Vitamin C paya jata hain. Hamari skin aur body ki immune system ko healthy rakhta hain.
Note :- Lichi ko ek limit mein hi khana chahiye, varna yeh aapko nuksaan bhi pahucha sakti hain. 10-11 se zyada litchi na khaye. Zyada litchi khane se aapko seerdard jaisi problem ho sakti hain. Yeh sharir mein khujali, Jeebh aur hontho mein sujan aur saans lene mein takhleef paida kar sakta hain.
No comments:
Post a Comment