Taboola kya hain? What is Taboola? - best tricks forever

BEGINNER GUIDE (Hindi)

test banner

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Tuesday, 24 January 2017

Taboola kya hain? What is Taboola?



Taboola ek company hain jiski sthapna saal 2007 mein huyi thi. Yeh ek native ads company hain, Jiska kaam website par ads dikhana hain aur yeh Google Adsense ki tarah hi Advertiser aur Publisher dono ke liye kaam karti hain. Kahne ka matlab yeh hain ki agar aapko Internet par apne product ya apni website ka koi promotion karna ho toh aap Taboola ke Advertiser ban sakte hain. Taboola advertiser ke ads Publishers ki website par show karti hain. Jis par kisi user ke click karne par Taboola Advertiser se paisa le leti hain aur Kuch commission apne paas rakh leti hain aur baaki ki payment publisher ko karti hain.

Taboola aaj kal har badi websites par ads dikha rahi hain. Aapne sabhi newspaper ki website aur bhi kai website par Iske Ads dekhe hi honge. Jaisa ki neeche photo mein dikhaya gya hain, Taboola ke ads aise hi hote hain. 





Yani ki agar aapke paas apni website hain toh aap Taboola Account ko approve karwa kar internet se paisa kama sakte hain. Kahne ka matlab hain ki aap apni website par Taboola ke ads dikha sakte hain aur Jab koi user ya visitor oon ads par click karega toh aapko paise milenge.

Taboola Publisher banane ke liye aapke website ki kya jaroorate honi chahiye ? What is the requirement of getting Taboola Publisher Account In Hindi/Urdu? 


 
Taboola Publisher banne ke liye aapke website par kam se kam 40,000,00 Pages view har month honi jaroori hain. Jab yeh company start huyi thi toh yeh shuru mein 5,00,000 Pages View/Month maangti thi, Dheere-dheere jaise hi yeh company aage badhi toh iski demand 10,000,00 tak pahuch gyi, Abhi maine iske liye apply kiya toh Taboola ki Team ka reply aaya ki Kya aapki website par 40,00,000 pages view per month hain? Tabhi hum aapko Taboola ki publisher account ko approve kar sakte hain.

Yani ki matlab saaf hain ki yeh sirf Big Websites ke liye acchi hain. Hum jaise chhote website aur blog ko yeh approve nahi karegi, Kyonki hamara traffic itna zyada nahi hain. Lekin agar aapke website ki traffic itni zyada high hain toh yeh aapke liye faydemand rahegi. Taboola kisi bhi Language mein likhi huyi website ko approve karta hain, Iske liye Website ka language koi mayne nahi rakhta hain, aap chahe kisi bhi bhasha/Language mein apni website banaye toh yeh aapki website ko approve kar lega, bas shart yehi hain ki traffic 40,000,00 per month pages hona chahiye.

Taboola ke ads logo ko bahut zyada attract karte hain, In par Click hone ki sambhavna bahut jyada hoti hain. Halaki yeh Google Adsense se thoda kam CPC deta hain, Lekin iski CTR kafi high hain. Kahne ka matlab yeh hain ki yeh google Adsense ke ads ke mukable Taboola ke ads par click hone par aapko shayad thodi kam keemat mile, Lekin Taboola ke ads kafi attractive hote hain jis par Users Google Adsense ke mukable jyada Click karte hain, Matlab ki iska CTR % google adsense se kafi behtar hain.


Taboola kaise payment karta hain ? How does taboola give payments to publishers? 


 
Taboola 45 din ke baad payment karta hain. Har mahine ki payment ko 45th day mein Payoneer ke jariye payment karta hain. Payoneer Paypal ki tarah ek freelancer service hain, Jo aapko duniya ke kisi bhi ek account se dusre account mein paisa transfer karti hain, Jiske badle mein veh transfer ke dauran kuch commission leti hain. Lekin Payoneer Paypal se zyada acchi hain, Kyonki iska transfer fee paypal ke mukable kam hain. Payoneer ke jariye aap apni payment direct apne bank account mein pa sakte hain.

Taboola ke ads bahut acche hain, Yeh Google Adsense ka alternative toh ban sakta hain. Lekin iski sabse badi khaami yeh hain ki yeh sirf badi website ke liye hi work karta hain. Hum jaise chote publishers ke liye yeh hamara account approve nahi karta hain.
 

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here