Custom domain kisi bhi blog ka pata ya Address hota hain. Jaise www.abc.com aadi. Har blog ka ek address hota hain, jise URL kaha jata hain. Blogspot par free mein blog banaya jata hain, Jiska url yourdomain.blogspot.com hota hain. Custom Domain mein aap Blogspot ko delete kar dete hain aur aapki website ka khud ka direct url hota hain jaise ki Yourdomain.com , Custom domain 2 tarah ke hote hain ek toh Main domain jaise ki Yourdomain.com aur dusra Sub-domain. Sub domain aise hote hain abc.yourdomain.com , Aapka blog agar blogspot par hain toh aapke blog ka url sub-domain par hain. Isliye Custom domain ko set karlene se aapke blog ka address .com mein convert ho jata hain aur aapka blog main domain mein transfer ho jata hain.
Agar aap blogging ke kshetra mein hain toh aapko pata hi hoga ki Custom domain hamare liye kyon jaroori hain. Aap chahe wordpress par ho ya Blogger ki free services par aap Blogspot blog hain toh aapko apna custom domain jaroor khareedna chahiye.
Custom Domain ka kharcha saal bhar mein mahaz 600 se lekar 1000 rupees ka hota hain. Yani ki har mahine ke hisaab se 100 rupees se bhi kam cost padta hain, custom domain ko buy karne mein.
Blogging ki shuruvaat mein hi aap apna domain khareed le aur ise apne blogger ke blogspot blog par set karle. Agar aap wordpress ko hosting khareed rahe hain toh 1 saal ke liye har hosting site aapko free mein custom domain deti hain.
Chahe kuch bhi ho Custom Domain ke apne fayde hain. Custom Domain aapko apne blog par blogging ke starting mein hi set ya add kar lena chahiye. Jante hain ki Custom Domain aapke blog ke liye kyon faydemand hota hain? Custom Domain ke fayde. Why add/Set custom domain on your blog in Hindi/Urdu.
1. Custom Domain ko shuru mein set kar lene se aapka blog, ab blog nahi rahta hain, Balki yeh ek website mein convert ho jata hain. Kyonki aapke paas apna .Com website jaisa feeling aati hain aur Yeh .Com wala blog ab Website mein change ho gya hain, Jise Users/Visitors bahut hi like karte hain.
2. Custom Domain ka sabse bada fayda yeh hain ki Google Adsense Account ko approve karnwane mein yeh bahut faydemand rahte hain. Jaha India or Pakistan jaise countries mein Kisi bhi new blog par Google Adsense ke ads dikhane ke liye Google Adsense Account ko approve karwane ke liye, Google aapke blog ki age 6 months maangta hain. Vahi par agar aap apne blog par Custom Domain set kar lete hain toh aap apni website ko sirf 10-15 dino mein Google Adsense account approve karwa lete hain. Yani ki Google Custom domain ko bahut hi pasand karta hain. Isse aap Google Adsense account ko easily approve karwa sakte hain.
3. Blog par Custom Domain Set karne se Jab aap Google Adsense account Approve karwate hain toh aapka Google Adsense Account “ Non-Hosted Account” mein approve hota hain. Jiska matlab hain ki aap ek special kism ka account aapko milta hain. Jabki blogspot blog se approve karwane par aapko “Hosted Account” milta hain. Non-Hosted Google Adsense account ka sabse bada fayda yeh hain ki aap ab apni kisi bhi nayi website par apne google adsense ads ko dikha sakte hain. Google se nayi website par ads dikhane ke liye baar baar permission nahi leni padti hain. Yani ki Custom Domain blog ke liye bahut hi jaroori hain.
4. Khud ka domain lene se aapke Blog ko jo ki ab Website mein convert ho gyi hain, Jiski wajah se Alexa aapki website ko sahi tarike se Rank deta hain. Kyonki Blogspot blog hone ki wajah se aapka blog ke kai kai saare url ban jate hain, Jaise ki Blogspot Blog India mein Blogspot.in, Pakistan mein Blogpot.Com, UAE mein Blogspot.AE isi tarah har country ke hisaab se different-different url mein convert ho jati hain, Jiski wajah se Alexa ko har url ki alag-alag rank karna padta hain. Jisse aapke blog ki alexa ranking par asar padta hain. Lekin agar aapne apne blog mein custom domain set kar liya hain toh Alexa ko Sirf aapke Blog ke sirf 1 Url ko hi Ranking karni padti hain. Jisse veh asaani se rank karti hain aur Isse aapke blog jo ki ek website mein change ho gyi hain, Usay Alexa Ranking mein Jabardast uchaal milta hain, Agar aapke blog par zyada visitors aate ho.
5. Kai saare aise Ads Networks hote hain, Jinke Ads dikhane ke liye veh aapse apni website ki demand karte hain, Jaise Ki Taboola aadi companies aapko Publisher Account dene ke liye Custom Domain ki requirement maangte hain. Isliye Custom Domain aapke liye sahi hain.
6. Custom Domain se Google Search Console aapke blog ki acchi tarah se Sitelinks banata hain. Kyonki Sitelinks aapke website ko search engine par aur bhi jyada attractive bana dete hain.
7. Custom Domain se aapka blog website mein convert ho jata hain, User ko lagta hain ki yeh Website hain. Ads companies bhi custom domain ki aor attract hoti hain.
8. Custom Domain set kar lene se jab aap apna blogspot Blog Wordpress par transfer karte hain toh aapka apne pahle wale custom domain ko set kar sakte hain, Jisse aapki blog ki ranking mein koi khas bura asar nahi padta hain.
9. Custom Domain ki wajah se aapko Non-Hosted Adsense account milta hain, Jisme aapki website custom domain hone ki wajah se matched Content ads ke liye aapki easily approve ho jati hain. Jabki blogspot url mein aapki blog hone ki wajah se google kabhi bhi aapke blog ko Matched content ads ko approve nahi karta hain.
10. Custom Domain hone ki wajah se Google Adsense aapko Non-Hosted account deta hain, Jisme aap Search Ads units bana sakte hain. Jabki blogspot se aapko hosted account mein Search Ads unit banane ki suvidha available nahi hoti hain.
Custom Domain lene ka nuksaan toh kuch nahi hain, Bas itna hi hain ki ise aapko har baar renewal karwana padta hain. Matlab aap kisi khas time ke liye custom domain khareedte hain, time period khatm ya expire hone se pahle aapko ise dubara se renewal karwana padta hain. Lekin blogging karna hain jo kharcha karna hi padega.
Custom Domain ka url Kaisa hona chahiye?
• Custom Domain ka url aapke blog ke naam se milta-julta hona chahiye.
• Custom domain aapko koshish karni chahiye ki .Com wala hi khareede, Kyonki isse aapki website ko universal effect milta hain. Kyonki .Com, .Org, .Net wale Domain thode mahange hote hain, Lekin Country Specific wale domain jaise ki .In, .Pk, .Au, .AE jaise domain jo ki .com wale domain se thode saste hote hain. Lekin aapko .Com wale domain ko hi khareedna chahiye. Yeh globalize touch dete hain.
• Custom Domain ka url bahut bada nahi hona chahiye. Custom Domain ka Url aisa hona chahiye ki User ise asaani se yaad rakh sake.
• Custom Domain ka url unique ho toh aur bhi behtar hain.
• Custom Domain ka URL aam-bol chaal mein istemal hone wale common words mein hona chahiye, Jisse user ko aapki website ka address easily yaad rahe.
Google Custom Domain ko bahut hi zyada like karta hain. Aap chahe toh Blogger ke blogspot blog par hi sirf 600 rupaye mein hi apna Custom Domain set kar sakte hain. Blogging ki duniya mein Blog par Custom Domain set karne se aapke blog ka wajan badhta hain. Alexa Ranking Increase hoti hain. Finally meri yahi salah hain ki aap Blogging ke starting mein hi Custom Domain set karle. Kyonki agar aapki blogging aage nikal padi toh isse aapko kafi mushkilo ka saamna karna pad sakta hain. Kai experts toh yeh kahenge ki custom domain ko baad mein bhi set kiya ja sakta hain. Mera manna bhi yehi hain ki custom domain ko baad mein bhi set kiya ja sakta hain. Lekin agar aapke blog ki ranking bahut zyada acchi ho gyi ho toh baad mein custom domain set karne se iski ranking mein giravat aati hain.
Blogging ki shuruvaat mein custom domain set kar lene se Blogging ko aur bhi behtar banaya ja sakta hain. Thanks for reading full article.

No comments:
Post a Comment