Motape se hain preshan toh aaj se jaroor khaye yeh 10 cheeze. - best tricks forever

BEGINNER GUIDE (Hindi)

test banner

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Tuesday, 24 January 2017

Motape se hain preshan toh aaj se jaroor khaye yeh 10 cheeze.

Motapa kam karne wale food. Top 10 Weight loss food in Hindi/Urdu.

Sharir mein badhi huyi charbi ho hatane ke liye log khana kam kar dete hain, Gym mein ghanto paseena bahate hain, Yoga karte hain aur na-jane kya kya karte hain, Lekin aapko jankar hairani hogi ki bazaar mein asaani se mauzood kuch 10 tarah ki khane ki cheeze sharir ki charbi ko choo mantar kar sakti hain. Sirf exercise karne bhar se aapka sharir chust-durust nahi rah sakta hain, aapko iske liye dieting ki bajaye khan-paan par bhi dhyaan dena hoga.

Hamare bazaar mein khane-peene ki tamam aisi cheeze hoti hain jo hamare sharir se charbi ko kam karne mein kafi hud tak madadgar hoti hain. Aaj hum aapko khane peene ki aisi 10 cheezo ke bare mein batayenge, Jinke bare mein jaankar aap tummy ko flat kar chust-durust shape mein khud ko dekh kar khush ho jayenge.

Khane-peene ki yeh cheeze aapke sharir mein energy ki jaroorato ka khas khyaal rakhte huye, na sirf aapke sharir mein mauzood protein ko pachane ka kaam karti hain, Balki aapke sharir mein mauzood extra fat ko bhi kam karti hain. Janiye kaun-kaun si hain khane-peene ki aisi cheeze jinhe aap bhi apni diet mein shamil kar sakte hain aur motape ko ghata sakte hain.

♦ Bajra :- Bajre ka sewan bhi aapke liye faydemand saabit ho sakta hain. Isme high quantity mein Fiber paya jata hain, yeh aapke sharir ki protein ki jaroorato ka bakhoobi khyaal rakhta hain. Fiber wala food khane se Cholesterol kam hota hain aur pitt ka production badhta hain, jisse fat ko kam karne mein madad milti hain.

♦ Anda :- Bahut logo ka bhram hota hain ki Anda sharir ki charbi ko badhane ke liye khaya jata hain, Kyonki isme kafi zyada cholesterol paya jata hain, Lekin isme protein bhi paya jata hain jo aapke pet ki extra fat ko kam karne mein madad karta hain.

♦ Daliya :- Aapne primary schools mein ya phir apne ghar mein kisi buzurg ko daliya khate huye jaroor dekha hoga, yeh aapka motapa bhi kam kar sakti hain. Yeh kafi hud tak cholesterol ko kam karne mein helpful hoti hain.

♦ Haldi :- Khana banane ke dauran istemal mein layi jane wali haldi bhi bade kaam ki hoti hain. Yeh Zingiberaceae family ki member hain. Curcumin iska important element hota hain jo carbohydrate ko low sugar mein badal deta hain. Pitt ke production ke baad sharir mein badhe cholesterol ke upyog ke duaran ise kam karne ki koshish karta hain. Pitt food Fat ko tukado mein todne ki koshish karta hain. Sharir mein jitna zyada pitt ka production hoga utni hi baar food fat tukdo mein tutegi jo wajan ghatane mein sahayak hain.

♦ Shahad :- Yeh ek meetha khadya padarath hain jise madhumakkhiyo dwara taiyaar kiya jata hain. Madhumakkhiya phoolo ka madhu nikaal kar apne chhatte mein jama karti hain. Yeh body se extra fat ghatane ke saath-saath sharir ki jaroori process ko sanchalit karne ke liye extra energy bhi deta hain.

♦ Gobhi :- Bazaar mein 2 tarah ki gobhi available hoti hain. Ek patta Gobhi aur dusri Phool gobhi, dono hi faydemand hain. Patta gobhi wajan ghatane mein madadgar saabit hoti hain.

♦ Mirch :- Chilli pepper solanaceae family ka plant hain. Yeh America ke logo ki diet ka ahem hissa raha karta tha. Sharir mein mirch ka matlab yeh hota hain ki aap apne sharir se vasa ko kam kar rahe hain. Chilli mein Capsaicin paya jata hain jo metabolism ko tez karta hain.

♦ Moong :- Moong ka istemal dilkas aur meethe pakwaano mein dono tarah se kiya jata hain. Moong ke sprout mein Vitamin A, B, C aur E bahtaayat hota hain. Isme kafi saare khaniz lavan bhi paye jate hain. Yeh wajan ghatane ke liye sarvotam aahar hain.

♦ Elaichi :- Elaichi bhi Zingiberaceae family ka plant hain. Elaichi pachan ko prabhavit karti hain. Jin logo ko pet mein einthan ki shikayat rahti hain, Unhe iska sewan karne se aaram milta hain. Yeh thermogenic jadi-booti hain jo metabolism ko tez karti hain, Jisse sharir mein fat ko todne mein madad milti hain.

♦ Lahsun :- Aamtaur par sabziyo mein istemal kiya jane wala Lahsun bhi aapki sehat ke liye faydemand hota hain. Isme Sulphur paya jata hain jo sharir mein jama fat ko kam karta hain. Yeh cholesterol ko ghatane mein bhi madadgar hain.

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here