Amrood khane se sehat ko hone wale fayde - best tricks forever

BEGINNER GUIDE (Hindi)

test banner

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Tuesday, 24 January 2017

Amrood khane se sehat ko hone wale fayde

 
Amrood hamare desh ka ek ahem phal hain. Halke hare rang ka amrood khane mein meetha hota ahin. Iske ander senkado ki sankhya mein chote-chote beej hote hain. Amrood bazaar mein bahut hi asaani se mil jane wala fruit hain.

Amrood ek aisa fruit hain jise har koi pasand karta hain. Lekin ise khane se pahle logo ke mann mein yeh baat aati hain ki isko khane se najala aur zukaam jaisi problems ho sakti hain. Lekin yeh baat aapko nahi pata hogi ki amrood khane se aapka digestive system sahi rahta hain aur aapka wajan bhi ho jayega.

Amrood mein kafi acchi matra mein Vitamin C, K, Minerals aur Anti-Oxidants paye jate hain. Jo hamari sehat ke liye bahut hi jaroori hain. Sath hi yeh sehat ke saath saath hamari skin ke liye bhi faydemand hain. Amrood ek chamatkaari phal hain. Janiye Amrood khane se kya-kya fayde hote hain. Benefits of eating guava fruit in Hindi/Urdu.

Diabetes se bachav kare :- Agar aapka sugar level ghatta-badhta rahta hain, JIski wajah se aapko kai preshaniyo se gujarna padta hain. Toh aap Amrood ka sewan jaroor kare. Isme zyada matra mein Fiber aur Low Glycemic Index paya jata hain jo aapko diabetes se bachata hain.

Kabz se rahat dilata hain :- Amrood mein bahut hi acchi matra mein fiber paya jata hain, Jo aapke pachan tantra ko durust banata hain aur aapko kabz jaisi problems se chhutkara dilata hain.

Dimaag banaye tez :- Amrood mein zyada matra mein Vitamin B3 aur B6 paya jata hain. Jiski wajah se yeh aapke dimaag mein blood circulation ko theek karta hain. Jisse aapka dimaag tez hota hain.

Wrinkles kam kare :- Agar aapke chehre mein jhurriya pad gyi hain. Jiski wajah se aap tarah-tarah ki cheezo ko apni diet mein shamil kar chuke hain. Phir bhi aapko koi fayda nahi hua hain, toh ek baar Amrood ko bhi try karke dekhiye. Isme bahut hi acchi matra mein Vitamin A aur C paya jata hain. Iske saath hi isme Crotine, Lycopene paya jata hain, JO aapke chehre ko jhurriyo se bachata hain.

Daant dard door kare :- Amrood jitna khane mein faydemand hota hain, Utni hi zyada iski pattiya bhi faydemand hoti hain. Yeh daanto ke infection ko door karta hain. Kyonki isme jyada matra mein Anti-Inflammatory aur Anti-Bacterial paya jata hain. Jo infection ke sath-sath cavity ko bhi kam karta hain. Agar aapko mooh se badboo aati ho toh Amrood ki komal pattiyo ko chabane se mooh se badboo aane ki shikayat door ho jati hain.

Weight loss karne ke liye :- Itan hi nahi Amrood khane se aap apna wajan ko bhi kam kar sakte hain. Isko khane se hamare body mein metabolism increase hota hain. Jisse hamara weight loss hota hain. Kyonki ise khane se jald aapka pet bhar jayega, jiski wajah se aap jyada khana nahi khayenge.

Fever Viral ko door kare :- Yeh viral Fever ko door karne mein helpful hota hain. Isme dusre phalo ke mukable zyada Vitamin C aur Iron paya jata hain. Jo aapki viral aadi se bachata hain.

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here