Kya aapko pata hain ki hamare aas-paas kai aise aushdhiya guno se bharpoor ped-paudhe paaye jate hain, Jo hamari sehat ke liye bahut hi faydemand hain. Inhi mein se ek hain neem, Jisme aushadhiya guno ki bharmaar hoti hain. Neem health aur beauty dono ke liye bahut hi faydemand hain.
Neem ka upyog medicine ke taur par aaj bhi kiya jata hain. Iska har hissa, Jaise ki daal, pattiya, jad, beej sabhi sehat ke liye faydemand hain. Iska swaad thoda sa kadwa hota hain, Lekin is kadwe swaad mein meethe gun chhipe huye hain. Ek medicine ke taur par Neem ka koi saani nahi hain.
Kya aap jante hain ki Neem ka sewan karne se gambhir se gambhir bimariyo se nijat milti hain. Cancer, Motape asaani se control ho jata hain. Janiye neem ke aushadhiya guno ke bare mein . Neem se hone wale fayde (Benefits of Neem in Hindi/Urdu.) :-
Baalo se related problems mein :- Neem ka tel baalo lamba karne aur dandruff se chhutkara dilane ke liye bahut hi faydemand hain. Iske liye halke haatho se baalo ki jado par neem ke tel se maalish kare. Isse aapko patle baalo ki problems se bhi chhutkara milta hain.
Agar aapke baalo mein dandruff ki problem hain toh neem ke powder ko paani mein mila kar scalp par lagaye aur 1 ghante baad ise shampoo se dho le. Agar aapko neem ki pattiya nahi mil rahi hain toh aapko bazaar mein asaani se neem ka powder mil jayega. Aap uska istemal kare.
Moohase door bhagaye ;- Agar aapko pimples ne preshan kar diya hain toh iske liye neem ka istemal behtar hoga. Neem ke istemal se aap moohaso se chhutkara pa sakti hain. Iske liye neem ke patto ko paani mein ubaal kar rooi ki madad se is paani ko chehre par jaha jaha moohase ho vaha-vaha lagaye. Isse aapke moohase bahut jaldi sahi ho jayenge.
Blood sugar ko control kare :- Iske liye neem ki patti kafi faydemand saabit hoti hain. Yeh natural insulin ki tarah kaam karta hain. Iske liye rojana subah khali pet neem ka juice piye aur iski pattiyo ko chabaye.
Dry Skin ko normal banaye :- Agar aapki skin bahut jyada dry hain toh aapko neem facepack ka istemal karna chahiye. Iske liye thoda sa neem powder lekar usme kuch boonde grape seed oil ki mila le. Is pack ko chehre par lagaye aur 3 minutes ke baad thande paani se dho le. Ise hafte mein 1 ya 2 baar jaroor lagaye.
Natural Skin tonner ka kaam karta hain :- Neem ka niyamit roop se istemal karne se aapke chehre ki jhurriyo aur jhaaiyo se nijaat mil jayega. Iske liye neem ko ubaale aur phir is paani ko thanda karke raat ko sote waqt ise chehre par lagaye. Agar aapki skin oily hain toh thoda sa gulab jal mila le aur phir subah apne chehre ko dhoye. Isse aapka chehra khubsoorat aur mulayam ho jayega.
Cancer se bachata hain :- Neem ki pattiyo mein Glycoprotein paya jata hain jo tumour cells ki growth ko rokta hain. Jisse aapko cancer se bachaav hota hain. Iske liye roj subah neem ka juice jaroor piye.
Wajan kam karne mein labhdayak :- Neem mein aise tatv paye jate hain jo aapke wajan ko kam kar sakte hain. Iske liye ek mutthi neem ke phoolo ko lekar paani mein ubaal le aur isme 1 chammach Nimbu ka ras aur aadha chammach shahah mila kar roj khali pet piye.
Chehre ke blackheads ko mitaye ;- Neem Blackheads, whiteheads aur big skin pores ko theek karne mein kafi madadgar saabit hua hain. Iske liye neem ki pattiya aur santre ke chhilko ka paste banaye, aur isme kuch boonde Shahad, Soyamilk aur Dahi dale aur infected jagaho par lagaye. Jald rahat paane ke liye hafte mein kam se kam 3 baar ise istemal jaroor kare.
Skin infection se bachata hain :- Neem ki pattiyo mein Anti-Bacterial, Anti-Fungal aur Anti-Viral tatv hote hain. Jiski wajah se yeh skin ke liye kafi faydemand hain. Neem skin ko bina dry kiye sujan aur jalan ko bhi door karta hain. Iske liye neem ki mulayam pattiyo ko ubaale aur jab paani hara hone lage toh gas band kare aur phir is paani ko chhane aur nahane ke paani mein ise milaye. Aisa karne se aapki skin se related sabhi tarah ke infection door ho jayenge.

No comments:
Post a Comment