Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai - best tricks forever

BEGINNER GUIDE (Hindi)

test banner

Post Top Ad

Responsive Ads Here

Monday, 28 November 2016

Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai

Blogging se income karne ke Advertising or Affiliate Marketing 2 sabse jyada important tarike hai. 90% hindi blogger Adsense Advertising Service use karte hai. kyuki adsense world me no.1 advertsing site hai. or sabse jyada benefit dene wali hai. but new blogger ko adsense join karne me bahut jyada problem hoti hai. is post me address verification ki jankari hai. jisme aapke kei sawalo ke jawab mil sakte hai.
Adsense Address pin verification

Google adsense indian new blogger ke liye sabse bada sir dard hota hai. adsense approved kaise kare,  adsense account kaise banaye,  payment kaise milti ha, address verify kaise hota hai. or bhi bahut si problems hai. jinka sabse aasan solution hai adsense ke rules ko ache se padna or follow karna. but hum aysa nahi karte. jiski wajah se hum adsense par kuch bhi nahi kar pate. aaj mai aapko is post me btane ja raha hu ki adsense par addrerss (pin) verify kaise karte hai.

Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai?

Isme aapko jyada kuch nahi karna hai. bas 4-5 step follow karne hai. agar aap dhyan se or samajh kar karoge to ye aapko bhi bahut aasan lagega.
Jab adsense par humari income $10 se jyada ho jati hai to adsense ke homepage par ek message show hota hai. “Your Payments are currently on hold because you have not verified your address.”
adsense address verify alert

aapko yaha par action par click karna hai. ya fir aap adsense setting gear>>setting>>payments click kare.
ab payee profile me edit ka option hoga uspe click kare ya left sidebar me payee profile par click kare. is forum ko apna sahi address bharna hai. address foum bharne ke bad save par click kare.
adsense payee profile settings

Save par click karne ke 3-5 days bad aapke address par adsense ek address (pin) verify ki post bhejega. jo aapko lagbhag 25-35 days ke bich mil jayegi. ya fir agar aapki location kisi popular city se dur hai to isme thoda time bhi lag sata hai. isliye wait kare sath hi apne post office se pata bhi karte rahe.

Adsense Address Verification Se Relate Sawal Jawab:

Q. 1 Adsense ki post kitne din me milti hai?
Ans- aapke address bharne ke 3-5 day bad adsense aapke address par post bhejega. isme kitna time lagega. ye aapki location par depent karta hai. agar aapki location kisi city ke aaspas ki hai to aapko 3o days ke aaspas post mil jayegi.
Q. 2 kya post send karne ke bad adsense hume koi mail ya message bhejta hai?
Ans – Nahi, adsense aapke address dalne par hi bta deta hai ki aapki post 3-8 days tak bhej di jayegi. jo aapko 4-5 weeks tak mil jayegi. iske bad adsense koi bhi notification nahi deta hai.
Q. 3 mai kitni bar address verify post ke liye apply kar sakta hu?
Ans – Sirf 3 bar, agar aap tin bar me bhi post recieve nahi paye hai. to uske bad aapko adsense team se bat karni padegi.
Q. 4 Kya 3 bar apply ki post me alag-alag code hote hai?
Ans – aap 1 se jyada post ke liye apply karoge to bhi sabhi post me ek hi code hoga. isliye aapko jo bhi post mile uska code use kar sakte ho.
Q. 5 address me kya kya likhna jaruri hota hai?
Ans – apna pura address jaise aapka name, village, post office, district, state etc. exaple ke liye upar 2 image me aap mera address dekh sakte ho.
 

Adsense Ki Post Kaisi Hoti Hai?

Adsense aapko jo post send karta hai. us par ek taraf aapka address or dusri taraf sirf google likha hota hai. niche image me adsense pin verify post ka scrrenshot hai.
adsense pin post screenshot

Mai aapko ek bat kahna chahunga ki indian villages me google adsense ko koi nahi janta isliye postman ko adsense address verify post ki photo dikha de. taki wo post aane par aapko suchit kar sake.
Post milne ke bad use open kare. usme jo 6 no.1 ka verify code hai. wo aapko adsense par verify karna hai. post milne se pahle galat code try nahi karna hai. warna adsense aapko block kar sakta hai.


I hope aapko ye post pasand aayegi. to ise share bhi jarur kare. agar aapko is post me kisi sawal ka jawab na mila ho to aap niche comment box me apna sawal post kar sakte ho. ya fir aap social media par bhi mujhse samparak kar sakte ho. humari site ki new post ki jankari ke liye abhi subscribe kare.

No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here